Saturday, July 10, 2010

VEER ZAARA SONGS LYRICS







Music Director: Madan Mohan
Sanjeev Kohli
Lyrics: Javed Akhtar
Year: 2004
Director: Yash Chopra



JO BANDISHEIN.......



Aa.... Aa.... Aa.... Aa.... Aa.... Aa.. Aa..

Jo bandishein thi zamaane ki tod aaya hoon

Main tere vaaste duniya ko chhod aaya hoon

Aaya tere dar par diwaana -2

Aaya hoon aaya, aaya tera diwaana

Aaya tere dar par diwaana -2

Tera diwaana, tera diwaana, tera diwaana

Aaya tere dar par diwaana -2

Tera diwaana, (tera)

Tera diwaana, (diwaana)

Tera diwaana, tera

Tera diwaana

Tera diwaana, tera diwaana, tera diwaana

Aaya tere dar par diwaana -2

Ye hai tera hi saudaayee, ye hai tera hi shahdaayee -2

Tere ishq mein hai isse mar jaana

Aaya tere dar par diwaana -2

Aa.... Aa.... Aa...

Tera jalwa jo paaun, main har gham bhool jaaun

Tera jalwa jo main paaun, main toh har gham bhool jaaun

Ye aansoo jo hai behte, bas itna hai ye kehte

Kahaan tu aur kahaan main, paraaya hoon yahaan main

Aa... Karam itna agar ho, ki mujh par ik nazar ho

Karam itna agar ho, ki mujh par ik nazar ho

Jaan-o-dil vaar doon main, zindagi haar doon main

Jaise shama pe marta hai parvaana

Aaya tere dar par diwaana -2

Aaya aa...... Aa.... Aa....

Aaya tere dar par tera hi diwaana -2

Diwaana tera -5 Aa......

Diwaana tera -3 Aa......

Diwaana tera -3

Aaya tere dar par diwaana, diwaana, diwaana

Aaya kis mod pe afsaana -6 (Aa........)

Aa...... Aa...... Aa......

Ye sitam ka rivaaj kyun hai, jaisa hai ye samaaj kyun hai

Ye duniya ki hai rasmein, main hoon ab inke bas mein

Ye jo duniya ki hai rasmein, main hoon ab inke hi bas mein

Na poochho kya gila hai, mujhe gham kyun mila hai

Tumhein main kya bataaun, mohabbat jurm hai kyun

Koyi rota hai kyun, aisa hota hai kyun

Kyun dil se har ek hai anjaana

Aaya kis mod pe afsaana -2

Ye kis maahol mein ham hain, khushi ke bhes mein gham hain

Kisse apna kahe kisse beghaana

Aaya kis mod pe afsaana -2

Aa...... Aa......

Aaya kis mod pe mera afsaana -2

Afsaana mera -4 afsaana mera -2

Afsaana mera -3 afsaana mera -2

Afsaana mera -3

Aaya kis mod pe afsaana, afsaana, afsaana

Aaya kis mod pe afsaana -4 (Aa.....aaaaaaaa)


AMBAR HETHHAAN.......



Ho.... Oh.... Oh......

Ambar Hethhaan, Dharti Vasdi, Ethe Har Rut Hasdi, Ho....

Kinna Sona, Des Hai Mera, Des Hai Mera, Des Hai Mera....

Kinna Sona Des Hai Mera, Des Hai Mera

Des Hai Mera, Des Hai Mera…

Dharti Sunehri Ambar Neela Ho...

Dharti Sunehri Ambar Neela, Har Mausam Rangeela

Aisa Des Hai Mera, Ho.... Aisa Des Hai Mera

Aisa Des Hai Mera, Haan.... Aisa Des Hai Mera

Bole Papiha Koyal Gaaye...

Bole Papiha Koyal Gaaye, Saawan Ghir Ke Aaye

Aisa Des Hai Mera, Ho.... Aisa Des Hai Mera

Aisa Des Hai Mera, Haan.... Aisa Des Hai Mera

Oh.... Kothhe Te, Kaan Bole Aayi Chithhi Mere Maahiye Di..

Vich Aane Da Vi Na Bole Aayi, Chithhi Mere Maahiye Di..

Genhoo Ke Kheton Mein Kanghi Jo Kare Hawaayein

Rang Birangi Kitni Chunariyaan Ud Ud Jaayein

Panghat Par Panhaaran Jab Gagri Bharne Aaye

Madhur Madhur Taanon Mein Kahin Bansi Koyi Bajaaye, Lo Sun Lo

Qadam Qadam Pe Hai Mil Jaani

Qadam Qadam Pe Hai Mil Jaani, Koyi Prem Kahaani

Aisa Des Hai Mera, Ho.... Aisa Des Hai Mera

Aisa Des Hai Mera, Haan.... Aisa Des Hai Mera

Oh.... Oh.... Oh....

(Hoy Hoy Hoy Hoy Hoy Hoy Hoy!)

Oh Meri Jugni De Dhaage Pakke Jugni Os De Moonh Toh Fabbe

Jinu Sat Ishq Di Lagge, Oy Saanyi Mereya Oh Jugni

Veer Mereya Jugni Kendi Aye, Oh Naam Saayin Da Lendi Aye

Hoy Hoy Hoy Hoy Hoy Hoy Hoy

Oh Dil Kad Litaa Ee Jind Meriye

Baap Ke Kandhe Chadh Ke Jahaan Bachche Dekhe Mele

Melon Mein Nach Ke Tamaashe, Kulfi Ke Chaat Ke Thhele

Kahin Milti Meethhi Goli, Kahin Chooran Ki Hai Pudiya

Bhole Bhole Bachche Hain, Jaise Gudde Aur Gudiya

Aur Inko Roz Sunaaye Daadi Naani Ho..

Roz Sunaaye Daadi Naani, Ik Pariyon Ki Kahaani

Aisa Des Hai Mera, Ho.... Aisa Des Hai Mera

Aisa Des Hai Mera, Haan.... Aisa Des Hai Mera

Sadke Sadke Jaandi Aye Mutiyaare Ni

Kanda Chuba Tere Pair Baankiye Naare Ni

Oy, Ni Adiye Kanda Chuba Tere Pair Baankiye Naare Ni

Kaun Kade Tera Kaandra Mutiyaare Ni

Kaun Sahe Teri Peed Baankiye Naare Ni

Oy, Ni Adiye Kaun Sahe Teri Peed Baankiye Naare Ni

Ho Ho Ho, Ho Ho Ho Ho

Mere Des Mein Mehmaanon Ko Bhagwaan Kaha Jaata Hai

Woh Yahin Ka Ho Jaata Hai, Jo Kahin Se Bhi Aata Hai

Aa Aa Aa Aa....

Tere Des Ko Maine Dekha Tere Des Ko Maine Jaana

Aa Aa Aa Aa....

Tere Des Ko Maine Dekha Tere Des Ko Maine Jaana

Jaane Kyun Ye Lagta Hai Mujhko Jaana Pehchaana

Yahaan Bhi Wahin Shaam Hai Wahin Saveraaa Oh....

Wahi Shaam Hai Wahin Savera

Aisa Hi Des Hai Mera Jaisa Des Hai Tera

Waisa Des Hai Tera Haan Jaisa Des Hai Tera

Aisa Des Hai Mera Ho.. Jaisa Des Hai Tera

Aisa Des Hai Mera Haan.... Jaisa Des Hai Tera

Aisa Des Hai Mera Haan..

Waisa Des Hai Mera


DO PAL RUKA.......



Do, pal ruka, khwaabon ka kaarvaan

Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan

Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan

Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan

Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

Tum the ke thi koyi ujli kiran

Tum the ya koyi kali muskaayi thi

Tum the ya tha sapnon ka tha saawan

Tum the ke khushiyon ki ghata chhaayi thi

Tum the ke tha koyi phool khila

Tum the ya mila tha mujhe naya jahaan

Do pal ruka khwaabon ka kaarvaan

Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan

Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan

Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

Aa... aa... aa...

Tum the aa khushboo hawaaon mein thi

Tum the ya rang saari dishaaon mein the

Tum the ya roshni raahon mein thi

Tum the ya geet goonje fizaaon mein the

Tum the mile ya mili thi manzilein

Tum the ke tha jaadoo bhara koyi sama

Do pal ruka, khwaabon ka kaarvaan

Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan

Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan


HAM TOH BHAI.......



Hmm.... hmm....

Ham toh bhai jaise hain, waise rahenge

Ham toh bhai jaise hain, waise rahenge -2

Ab koyi khush ho, ya ho khafa, ham nahin badlenge, apni adaa

Samjhe na samjhe koyi ham yahi kahenge

Ham toh bhai jaise hain, waise rahenge -2

Hmm… ham dil ki shehzaadi hai, marzi ki mallika

Haan… ham dil ki shehzaadi hai, marzi ki mallika

Sar pe aanchal kyun rakhe, dhhalka toh dhhalka

Ab koyi khush ho ya koyi roothhe, is baat par chaahe har baat toote

Ham toh bhai jaise hain, waise rahenge -2

Hamein shauq mehendi ka na shehnaai ka hai

Ho.. hamein shauq mehendi ka na shehnaai ka hai

Hamaare liye toh apna ghar hi bhala hai

Sunta agar ho toh sun le kaazi, lagta nahin kabhi ham honge raazi

Ham toh bhai jaise hain, waise rahenge -2

Ab koyi khush ho, ya ho khafa, ham nahin badlenge apni adaa

Samjhe na samjhe koyi ham yahi kahenge

Ham toh bhai jaise hain, waise rahenge -2

Aa aa ha ha ha ha ha ha ha ha, oh ho ho ho ho ho ...


JAANE KYUN.......



Jaane kyun, khwaabon ka mausam hai, aur main hoon

Mausam hai, aur main hoon

Jaane kyun, yaadon ki shabnam hai, aur main hoon

Shabnam hai, aur main hoon

Yaadein, laayi hain, khushiyaan bhi, aansoo bhi

Jaane kyun, ik aisa sangam hai, aur main hoon

Sangam hai, aur main hoon

Barse jo rang itne saare, rangeen huwe sab nazaare -2

Lekin mera dil kahin bhi, lagta nahin bin tumhaare

Tumko, bas tumko, dil dhhoondhhe dil maange

Jaane kyun, har lamha ye sitam hai, aur main hoon

Ye sitam hai, aur main hoon

Jaane kyun, khwaabon ka mausam hai, aur main hoon

Mausam hai, aur main hoon..

Ye vaadi ab so gayi hai, kohre mein hi kho gayi hai -2

Saari fiza saans roke, gumsum si ab ho gayi hai

Saari, duniya mein, ab koyi nahin jaise

Jaane kyun, bas mera hamdam hai, aur main hoon

Hamdam hai, aur main hoon

Jaane kyun, yaadon ki shabnam hai, aur main hoon

Shabnam hai, aur main hoon

Yaadein, laayi hain, khushiyaan bhi, aansoo bhi

Jaane kyun, ik aisa sangam hai, aur main hoon

Sangam hai, aur main hoon

La la la, la la la la

Hmm hmm hmmaur main hoon



MEIN KEDI.......



Mein Kedi number 786 jail ki salakhon se bahar dekh ta hoon.

Din, mahinein, saloon ko, yug mein badal te dekh ta hoon.

is miti se mere bauji ki kheton ki khushbu ati hai

yeh dhoop meri matti ki thandi chaas yaad dilati hai

yeh barish mere sawaan ke jhoolon ko sang sang lati hai

yeh saardi meri lodi ki aag sikh ke jati hai

woh kehta hai yeh tera desh nahi

phir kyun mere des jaisa lagta hai

woh kheta hai mein us jaisa nahi

phir kyun mujh jaisa woh lagta hai

mein kedi number 786 jail ki salakhon se bahar dekh ta hoon

sapno ke gawn se utri

ek nani pari ko dekh ta hoon

kehti hai khud ko Saamiya aur mujh ko Veer bulati hai

hai bilkul begani paar apno si zid woh karti hai

uski sachi baaton se phir jeene ko maan karta hai

uske kaasmon vado se kuch karne ko maan karta hai

Mein kedi number 786 jail ki salakhon se bahar dekh ta hoon

mere gawn ke raango mein lipti ek nayi Zaara ko dekhta hoon

Mere khwabon ko pura karte

khud ke khwab bhool chuki hai woh

mere logo ki sewa karte

apne logo ko chor chuki hai woh

uska daaman aab khushion se bharne ko jee karta hai

uske leya ek aur zindagi jeene ko jee karta hai

Woh khete hai ke mein, mera desh uska nahi

phir kyun mere ghar woh rehti hai

woh kehte hai ke mein us jaisa nahi

phir kyun mujh jaisi woh lagti hai

mein kedi number 786 jail ki salakhon se bahar dekh ta hoon

Woh khete hai ko woh koi nahi teri

phir kyun mere liye dunya se woh larti hai

woh khwta hai ke mein us jaisa nahi

phir kyun mujh jaisi woh lagti hai


EK DIN.......



Ek din jab savere savere, surmayi se andher ki chaadar hata ke

Ek parbat ke takiye se, sooraj ne sar jo uthaaya, toh dekha

Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai

Aur yaadon ki daaliyon par

Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain

Ankahi ansuni aarzoo, aadhi soyi huwi aadhi jaagi huwi

Aankhein malte huwe dekhti hai, laher dar laher

Mauj dar mauj, behti huwi zindagi

Jaise har ek pal nayi hai, aur phir bhi wahi, haan, wahi zindagi

Jiske daaman mein ek mohabbat bhi hai, koyi hasrat bhi hai

Paas aana bhi hai, door jaana bhi hai, aur ye ehsaas hai

Waqt jharne sa behta huwa, jaa raha hai, ye kehta huwa

Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai

Aur yaadon ki daaliyon par

Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain

Aaâ haa ho hoaa aa haa ho ho hmm hmm

Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai

Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai

Kyun fiza, rang chhalka rahi hai

Mere dil bata aaj hona hai kya

Chaandni, din mein kyun, chhaa rahi hai

Zindagi, kis taraf jaa rahi hai

Mere dil bata kya hai ye silsila

Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai

Gaa rahi hai, gaa rahi hai

Ha ha ha ha aa…aa…, hmm.., aa ha ha ha…

Jahaan tak bhi jaayein nigaahein, baraste hain jaise ujaale -2

Saji aaj kyun hain ye raahein, khile phool kyun hain niraale

Khushbuwein, kaisi ye beh rahi hain

Dhadkanein jaane kya keh rahi hai

Mere dil bata ye kahaani hai kya

Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai

Gaa rahi hai, gaa rahi hai

Aa... aa...

Ye kiska hai chehra jisse main, har ek phool mein dekhta hoon -2

Ye kiski hai awaaz jisko, na sun ke bhi main sun raha hoon

Kaisi ye aahatein aa rahi hain, kaise ye khwaab dikhla rahi hain

Mere dil bata kaun hai aa raha

Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai

Gaa rahi hai, gaa rahi hai

Aaâ aaâ aaâaa aa.... aa...


LO AA GAYI.......



Haay, haay, haay, haay

Haay haay haay haay haay haay haay haay -2

Haay-haay, haay-haay, haay!

Haay haay haay haay haay haay haay haay -2

Lo aa gayi lodi ve, (aaha!)

Bana lau jodi ve, (aaha!)

Kalaayi koyi yun thaamon, na jaave chhodi ve, (aaha!)

Na jaave chhodi ve

Female Chorus: Choothh na boli ve, (oho!)

Kufar na toli ve, (oho!)

Jo tune khaayi thi kasmein, ik ik todi ve, (oho!)

Ik ik todi ve

Lo aa gayi lodi ve, (aaha!)

Female Chorus: Bana lo jodi ve, (oha!)

Lo aa gayi lodi ve, (aaha!)

Bana lo jodi ve

Oy...... ho ho ho ho ho ho oh… hoy-hoy-hoy-hoy-hoy-hoy-hoy!

Tere qurbaan jaavaan, teri marzi jaan jaavaan

Toh har baat maan jaavaan, teri soniye

Oy-oy-oy, tere qurbaan jaavaan, teri marzi jaan jaavaan

Toh har baat maan jaavaan, teri soniye

Oy-oy-oy tere qurbaan jaavaan

Haan! tenu main jaan-diyaan, khoob pehchaan-diyaan

Milna jo mujhko haiga tujhko, sun le kuchh galaan meriyaan) -2

Tenu main jaan diyaan, khoob pehchaan diyaan

Oy oy oy jind meriye

Haay haay haay, jind mereya

Shaam hote hi naal yaaraan de roz da peena..

Doobe sooraj toh banda vi doobe, hai ye koyi jeena, hmm

Baat changi, hai ye teri, dhyaan rakhaanga

Aaj pee loon, boond kal se, main na chakhaanga

Haan.. jo ab shaam hogi toh seedhe ghar jaayenge

Haan haan haan

Tere qurbaan jaavaan -2

Oy raanjhna, mere makhna, oy dhholna, mere sajna

Jind meriye, oy heeriye, soniye ho…

Tenu har din, vekhdi hoon, khed-de patte

Mujhse pyaare, tenu panje, chhikke te satte, kyun?

Taash kheloon, ab na hogi, aisi naadaani

Ab toh honge, do hi patte, raaja aur raani

Jind ey meri hogi teri, chhad patteyaan di dheriyaan

Tenu main jaan diyaan, khoob pehchaan diyaan

Oy oy oy jind meriye

Haay haay haay, jind mereya

Lo aa gayi lodi ve, (aaha!)

Bana lo jodi ve, (aaha!)

Kalaayi koyi yun thaamon, na jaave chhodi ve, (aaha!)

Na jaave chhodi ve

Jhoothh na boli ve, (oho!)

Kufar na toli ve, (oho!)

Jo tune khaayi thi kasmein, ik ik todi ve, (oho!)

Ik ik todi ve

Kuchh mangaaun, yaad tumko reh nahin paaye

Laana toh tha, ek paraanda, halva le aaye

Paas ab ye, note book hai, is mein likh loonga

Yaani ab jo, tum mangaao, woh hi laaunga

Haan.. sudharte sudharte hi sudhar jaayenge, haan haan haan

Tere qurbaan jaavaan -2

Soniye, baliye, jindiye, heeriye

Sajna, dholna, makhna, raanjhna

Aa...., chaahe badlo ya na badlo, phir bhi mere ho

Main toh chaahoon, jab janam loon, tum hi mere ho

Oh ho ho ho ho..

Heeriye main, har janam hoon, tera hi jogi

Tu meri thi, tu meri hai, tu meri hogi

Haan…tumhaare bina ye kidhar jaayenge

Honi ab poori, hai zaroori, mann diyaan sadraan teriyaan

Tenu main jaan-diyaan, khoob pehchaan-diyaan

Tere qurbaan jaavaan -2

Ho! Ho! Ho ho ho!

Aaha! Aaha! Aaha aaha aaha!

Ho ho ho ho ho ho lo aa gayi lodi ve (aaha!)

Bana lo jodi ve (aaha!)

Kalaayi koyi yun thaamon, na jaave chhodi ve

Choothh na boli ve, (oho!)

Kufar na toli ve, (oho!)

Jo tune khaayi thi kasmein, ik ik todi ve


MAIN YAHAAN.......



Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan..

(Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan) -2

Kaisi, sarhadein, kaisi majbooriyaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Tum chhupa na sakogi main woh raaz hoon

Tum bhoola na sakogi woh andaaz hoon

Goonjta hoon jo dil mein toh hairaan ho kyun

Main tumhaare hi dil ki toh awaaz hoon

Sun sako, toh suno, dhadkanon ki zabaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Kaisi, sarhadein, kaisi majbooriyaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Main hi main ab tumhaare khayaalon mein hoon

Main jawaabon mein hoon, main sawaalon mein hoon

Main tumhaare har ek khwaab mein hoon basa

Main tumhaari nazar ke ujaalon mein hoon

Dekhti, ho mujhe, dekhti ho jahaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Kaisi sarhadein, kaisi majbooriyaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan



TERE LIYE.......



Tere liye, ham hain jiye, honton ko siye

Tere liye, ham hain jiye, har aansoo piye

Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye

Tere liye, tere liye

Tere liye, ham hain jiye, har aansoo piye

Tere liye, ham hain jiye, honton ko siye

Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye

Tere liye, tere liye

Aa......

Zindagi, le ke aayi hai, beete dinon ki kitaab -2

Ghere hain, ab hamein, yaadein be-hisaab

Bin poochhe, mile mujhe, kitne saare jawaab

Chaaha tha kya, paaya hai kya, hamne dekhiye

Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye

Tere liye, tere liye

Kya kahoon, duniya ne kiya, mujh se kaisa bair -2

Hukam tha, main jiyun, lekin tere baghair

Naadaan hai woh, kehte hain jo, mere liye tum ho ghair

Kitne sitam, hampe sanam, logon ne kiye

Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye

Tere liye, tere liye

Tere liye, ham hain jiye, honton ko siye

Tere liye, ham hain jiye, har aansoo piye

Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye

Tere liye, tere liye

Tere liye -4


LEHRAATI HUWI.......



Lehraati huwi raahein, khole huwe hain baanhein

Ye ham aa gaye hain kahaan

Palkon pe gehre halke, hai reshmi dhundhalke ke

Ye ham aa gaye hain kahaan

Aa ye ham aa gaye hain kahaan

Woh dekho zara, parbaton pe ghataayein

Hamaari daastaan, holle se sunaaye

Suno toh zara, ye phoolon ki waadi

Hamaari, hi koyi, kahaani hai sunaati

Sapnon ke is nagar mein, yaadon ki rehguzar mein

Ye ham aa gaye hain kahaan

Haan.. ye ham aa gaye hain kahaan

Jo raahon mein hai, rut ne sona bikhera

Sunehra huwa, tera mera savera

Zameen so gayi, barf ki chaadaron mein

Bas ek, aag si, jalti hai do dilon mein

Hawaayein sansanaayein, badan kaanp jaayein

Ye ham aa gaye hain kahaan

Haan ye ham aa gaye hain kahaan

Ye barsaat bhi, kab thamein kaun jaane

Tumhein mil gaye, pyaar ke sau bahaane

Sitaaron ki hai, jaise baaraat aayi

Hamaare liye, raat yun dagmagaayi

Sapne bhi jhilmilaayein

Dil mein diye jalaayein

Ye ham aa gaye hain kahaan

Haan ye ham aa gaye hain kahaan

Haan ye ham aa gaye hain kahaan







No comments:

Post a Comment