Saturday, July 10, 2010

DEVADAS SONGS LYRICS









Music Director: Ismail Darbar
Monty Sharma
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Year: 2002
Director: Sanjay Leela Bhansali



AAN MILO.......



Aan milo aan milo shyaam saaNvare, aan milo

aan milo aan milo shyaam saaNvare, bRij mein akeli raadhe khoyee-khoyee phire

o raadhe khoyee-khoyee phire, o kaanhaa aan milo

o.. aan milo aan milo shyaam saaNvare, aan milo

Rindaavan ki galiyon mein tum bin jiyaraa na laage

o.. jiyaraa naa laage

nis din tumhaari baaT dekhe vyaakul nainaa bhaage

vyaakul naina bhaage

ab hii aisii dashaa hai man kii kyaa hovai phir aage re

bRij mein akeli raadhe khoyee-khoyee phire

o raadhe khoyee-khoyee phire

o kaanhaa aan milo

both: o.. aan milo aan milo shyaam saaNvare, aan milo

aaj na kaahe jamunaa teere murli madhur bajaai

o.. murli madhur bajaai

aaj na kaahe sakhiyaaN ke sang hil-mil raas rachaai

o.. hil-mil raas rachaai

hamaara aaNgan chhoD ke tohe kaun nagariyaa bhaai re

bRij mein akeli raadhe khoyee-khoyee phire

o raadhe khoyee-khoyee phire

o kaanhaa aan milo

both: o.. aan milo aan milo shyaam saaNvare, aan milo

ajahuN jo na bheje re Mohan taine koi khabariyaa

o..

ajahuN na bheje re Mohan taine koi khabariyaaa

o.. taine koi khabariyaa

ho gayee hai ye bRij ki baalaa ro-ro kar baaNvariyaa

o.. ro-ro kar baaNvariyaa

dheer bandhaa jaa, dheer bandhaa jaa mukh dikhlaa jaa naT naagar saaNvariyaa re

Rij mein akeli raadhe khoyee-khoyee phire

o raadhe khoyee-khoyee phire

o kaanhaa aan milo

o.. aan milo aan milo shyaam saaNvare, aan milo


BAIRI PIYA.......



Ish, ish

Bairi piya bada bedardi, ish

Ho, bairi piya bada bedardi

Dil ka dard na jaane saudaai

Harjaai zulmi ram duhaai

Kaise kahoon kaase kahoon haai ram

Dil ka dard na jaane

Na jaane, na jaane, na jaane jaane jaane haai

Bairi piya bada re bedardi

Ho ho, bairi piya bada be, ish

Tu door jo tha to paas hi tha

Ab paas hai to door hai kyoon

Na jaane jaane jaane jaane jaane

Tu door jo tha to paas hi tha

Ab paas hai to door hai kyoon

Aa paas to aa pehna bhi de yeh kangna

Na sata, ab maan bhi le yeh kehna

Kaise kahoon kaase kahoon ram

Kangna kehna na maane

Na maane, na maane, na maane

Yeh kangna bada bedardi

Ho, yeh kangna bada bedardi

Kangna kehna na maane deewana

Aawaara, sangdil ram duhaai

Ab maan bhi jaao na

(Na na na na)

Tum paas to aao na

(Haan haan re haan haan)

Baheki baheki baaton mein teri

Dheere dheere aane lagi

Jugnu ne mujhse kaha aisa hai yeh tera piya

Le hi jaayega tera jiya

Haan, pyaari pyaari baaton pe teri

Chaandni bhi hasne lagi

Taare muskuraane lage, hawa gungunaane lagi

Aasmaan bhi jhoom utha

Kaise kahoon, kaase kahoon haai ram ram ram ram ram

Pagla itna na jaane

Na jaane, na jaane, na jaane jaane jaane haai

Ish

Ish



HEY SHEESHE.......



Hey sheeshe se sheesha takraaye - 2

Jo bhi ho anjaam

O dekho kaise

Arre sheeshe se sheesha takraaye

Jo bhi ho anjaam, o dekho kaise

(Chhalak chhalak chhal, chhalak chhalak chhal

Chhalak chhalak chhalkaaye re) - 2

Hey, jhaangh pakhaawaj taashe baaje

Chhalke jab yeh jaam, o dekho kaise

Aha, aha, aha, o dekho kaise

(Dhamak dhamak dham, dhamak dhamak dham

Dhamak dhamak dhamkaaye re) - 2

Sheeshe se sheesha takraaye

Hey hey hey hey, hey hey eh eh hey

Yeh madira

Haan, yeh madira

Yeh madira to le aati hai yaadon ki barsaat

Ae chhalak chhalak ke chhalti jaaye

Dil ko yeh madira

Haan, yeh madira honton se utre

To bole dil ki baat

Hey, garaj garajke dil mein garje

Gham ke yeh badra

Dil tak jaise yeh pahaunchi aayi aayi

Aayi uski yaad

Uski ek jhalak, uski ek jhalak

Mil jaaye itni hai fariyaad

Itni hai fariyaad, itni hai fariyaad

Hey naache mira jogan banke o mere ghanshaam

Naache mira laheraake balkhaake o mere ghanshaam

Jhanana jhan, aha, aha, aha

O dekho kaise

(Jhanak jhanak jhan, jhanak jhanak jhan

Jhananana paayal baaje re) - 2

Pyaar mein tere dil yeh chaahe ho jaaye badnaam

O dekho kaise, o dekho, o dekho

(Dhidak dhidak dil, dhidak dhidak dil

Dhidak dhidakta jaaye re) - 2

Hey

(Dhamak dhamak dham, dhamak dhamak dham

Dhamak dhamakta jaaye re) - 2

(Jhanak jhanak jhan, jhanak jhanak jhan

Jhananana paayal baaje re) - 2

Ae, chhalak chhalak chhal

Dhamak dhamak dham, khanak khanak khan

Ae, dhadak dhadak dil

Jhanak jhanak jhan, dhinak dhinakta jaaye re

Hey sheeshe se sheesha takraaye

Sheeshe se sheesha takraaye

Hey sheeshe se sheesha takraaye



DOALA RE.......



Dola Re Dola Re Dola Re Dola

Haye Dola Dil Dola Mann Dola Re Dola

Lag Jaane Do Najariya, Gir Jaane Do Bijuriya

Bijuriya, Bijuriya, Gir Jaane Do Aaj Bijuriya

Lag Jaane Do Najariya, Gir Jaane Do Bijuriya

Baandhke Maein Ghunghroo

Pehenke Maein Paayal

Oh, Baandhke Maein Ghunghroo

Pehenke Maein Paayal

Ho Jhoomke Naachoongi Ghoomke Naachoongi

Dola Re Dola Re Dola Re DolaĆ¢€¦

Dekho Ji Dekho Dekho Kaisi Yeh Jhankaar Hai

Inki Aankhon Mein Dekho Piyaji Ka Pyaar Hai

Inki Aawaaz Mein Haye Kaisi Thanadaar Hai

Piya Ki Yaadon Mein Yeh Jiya Beqaraar Hai

Maathe Ki Bindiya Mein Voh Hai

Palkon Ki Nindiya Mein Voh Hai

Tere To Tan Mann Mein Voh Hai

Teri Bhi Dhadkan Mein Voh Hai

Choodi Ki Chhan Chhan Mein Voh Hai

Kangan Ki Khan Khan Mein Voh Hai

Baandhke Maein Ghunghroo

Haan, Pehenke Maein Paayal

Ho Jhoomke Naachoongi Ghoomke Naachoongi

Dola Re Dola Re Dola Re Dolaaaaa



AAYI KHUSHI.......



Aayi, khushi ki hai yeh raat aayi

Sajdhajke baaraat hai aayi

Dheere dheere gham ka saagar

Tham gaya aankhon mein aakar

Goonj uthi hai jo shehnaai

To aankhon ne yeh baat bataayi

Hamesha tumko chaaha aur chaaha

Aur chaaha chaaha chaaha

Hamesha tumko chaaha aur chaaha kuch bhi nahin

Tumhe dil ne hai pooja, pooja, pooja

Aur pooja kuch bhi nahin

Na na nahin, na na nahin nahin nahin nahin nahin

Kuch bhi nahin, ho kuch bhi nahin

Oh, kuch bhi nahin

Khushiyon mein bhi chhaayi udaasi

Dard ki chhaaya mein voh lipti

Kehne piya se bas yeh aayi - 2

Jo daag tumne mujhko diya

Us daag se mera chehra khila

Rakhoongi main isko nishaani banaakar

Maathe pe isko hamesha sajaakar

O preetam, o preetam bin tere mere is jeevan mein

Kuch bhi nahin, nahin, nahin, nahin, nahin

Kuch bhi nahin

Beete lamhon ki yaadein lekar

Bojhal kadmon se voh chalkar

Dil bhi roya aur aankh bhar aayi

Mann se aawaaz hai aayi

Voh bachpan ki yaadein

Voh rishte voh naate voh saawan ke jhoole

Voh hasna, voh hasaana, voh roothke phir manaana

Voh har ek pal mein dil mein samaaye diye mein jalaaye

Le jaa rahi hoon main le jaa rahi hoon main le jaa rahi hoon

O preetam, o preetam

Bin tere mere is jeevan mein

Kuch bhi nahin nahin nahin nahin nahin

Kuch bhi nahin

Hamesha tumko chaaha, aur chaaha chaaha chaaha

Aur chaaha chaaha chaaha - 2

Haan chaaha chaaha chaaha

Bas chaaha chaaha chaaha

Haan chaaha chaaha chaaha

Aur chaaha chaaha chaaha - 2



MAALTI GUNDHAAYE.......



Maalti gundhaaye kesh pyaare gulgubaare - 2

Mukh damini si damakata chaal matwaari

Chaal matwaari, chaal matwaari

Kathak dance rhythm iterations

Dhaai shaam rok lai, rok lai, rok lai

Dhaai shaam rok lai, aur chakmaka mukh choom lai

Mukh choom lai, mukh choom lai

Sar se mori chunari gayi, gayi, gayi

Sar se mori chunari gayi sarak sarak sarak

Sarak sarak sarak, sarak sarak sarak

Kaahe chhed, chhed mohe garwa lagaayi - 2

Kaahe chhed, chhed mohe

Nanda ko laal aiso dheet - 2

Barbas mori laaj leeni, laaj leeni, laaj leeni

Barbas mori laaj leeni

Bindashaam maanat naahi, bindashaam maanat naahi

Kaase kahoon main apne jiya ki soonat naahi maayi

Kaahe chhed, chhed mohe, ish

Dadh ki bhari matki, dadh ki bhari matki

Dadh ki bhari matki lai jaata rahi dagar beech

Aahat sun, aahat sun

Aahat sun jiyara gayo dhadak dhadak dhadak

Dhadak dhadak dhadak, dhadak dhadak dhadak

Kaahe chhede, chhede chhede mohe

Kar pakadata choodiyaan sab karki karki karki karki

Kar pakadata choodiyaan sab karki karki karki

O maayi

Bindashaam maanat naahi, bindashaam maanat naahi

Kaase kahoon main apne jiya ki soonat naahi maayi

Kaahe chhed, kaahe chhed

Kaahe chhed, chhed mohe



YEH KISKI HAI AAHAT.......



Yeh kiski hai aahat, yeh kiska hai saaya

Hui dil mein dastak yahan kaun aaya

Hum pe yeh kisne hara rang daala

Oh, hum pe yeh kisne hara rang daala

Khushi ne hamaari hamein maar daala, oh maar daala

Maar daala, haan maar daala

Hum pe yeh kisne hara rang daala

Khushi ne hamaari hamein maar daala

Hamein maar daala, hamein maar daala, hamein

Maar daala, maar daala, maar daala, maar daala

(Allah, allah, allah)

Na chaand hatheli par sajaaya

Na taaron se koi bhi rishta banaaya

Na rab se bhi koi shikaayat ki

Na rab se bhi koi shikaayat ki

Har gham ko humne chhupaaya

Har sitam ko haske uthaaya

Kaanton ko bhi gale se lagaaya

Aur phoolon se zakhm khaaya

Haan magar dua mein jab yeh haath uthaaya

Oh haan magar dua mein jab yeh haath uthaaya

Khuda se dua mein tumhein maang daala, oh maang daala

Allah, maang daala, allah, maang daala, oh

(Hum pe yeh kisne hara rang daala

Khushi ne hamaari hamein maar daala)

Hamein maar daala, hamein maar daala, hamein

Maar daala, maar daala, maar daala, maar daala

(Allah, allah, allah)

Maar daala, oh maar daala, maar daala ho maar daala

Maar daala, maar daala, maar daala, maar daala

(Yeh kiski hai aahat, yeh kiska hai saaya

Hui dil mein dastak, yahan kaun aaya)

Hey eh, eh eh eh

Mm mm mm mm mm, mm mm mm mm mm mm


MAUSAM NE.......



Mausam ne li angdaayi, aayi aayi

Laheraake barkha phir chhaayi, chhaayi chhaayi

Jhonka hawa ka aayega aur yeh diya bujh jaayega

Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya, ho, hm

Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya

Piya, yeh diya na bujha hai, na bujhega

Meri chaahat ka diya

Mere piya ab aaja re mere piya

Ho, mere piya ab aaja re mere piya

Is diye sang jal raha mera rom rom rom aur jiya

Ab aaja re mere piya

Ho, mere piya ab aaja re mere piya

Faasla tha doori thi, faasla tha doori thi

Tha judaai ka aalam, intezaar mein nazrein thi

Aur tum vahan the, tum vahan the, tum vahan the

Jhilmilaate jagmagaate khushiyon mein jhoomkar

Aur yahan jal rahe the hum, aur yahan jal rahe the hum

Phir se baadal garja hai, garaj garajke barsa hai

Ghoomke toofaan aaya hai par tujhko bujha nahin paaya hai

O piya yeh diya chaahe jitna sataaye tujhe yeh saawan

Yeh hawa aur yeh bijliyaan

Mere piya ab aaja re mere piya

Ho, mere piya ab aaja re mere piya

Dekho yeh pagli deewani, duniya se hai yeh anjaani

Jhonka hawa ka aayega aur iska piya sang laayega

Oh piya ab aaja re mere piya

Silsila yeh chaahat ka na dil se bujhne diya

Oh piya yeh diya

Silsila yeh chaahat ka na dil se bujhne diya

Oh piya yeh diya

Ae piya, piya, piya





No comments:

Post a Comment