Saturday, July 10, 2010

RANGEELA SONGS LYRICS

Music Director: A.R.Rahman
Lyrics: Pulok Bandopadhyay
Year: 1995
Director: Ram Gopal Varma

HAI RAMA.......

Hai rama ye kya hua kyon aise humein sataane lage

Tum itni pyaari ho saamne hum kaabu mein kaise rahein

Jaao humko to aati sharam hai

Teri aisi ada pe to fida hum hain

Hai rama ye kya hua kyon aise humein sataane lage

Tum itni pyaari ho saamne hum kaabu mein kaise rahein

Jaao humko to aati sharam hai

Teri aisi ada pe to fida hum hain

Tauba meri tauba ab kya sitamb hai

Kaise zidd karne lage

Jaane tumne kya kya socha aage aage

Hum to ab darrne lage

Arre socha hai yehi raat aur din

Tujhe pyaar karenge hum

Darrte ho kyon o jaaneman

Mere pyaar se

Hai rama ye kya hua kyon aise humein sataane lage

Tum itni pyaari ho saamne hum kaabu mein kaise rahein

Jaao humko to aati sharam hai

Teri aisi ada pe to fida hum hain

Hai rama ye kya hua kyon aise humein sataane lage

Tum itni pyaari ho saamne hum kaabu mein kaise rahein

Jaao humko to aati sharam hai

Teri aisi ada pe to fida hum hain

Kaali kaali zulfein gori gori baahein

Mujhko tadpaane lagin

Honth bheege bheege nasheeli ye aankhein

Pyaas ko jagaane lagin

Chhodo na aisi baaton ko

Kyon kaun raahon ko

Modo na meri baahon ko

Jaane do na

Hai rama ye kya hua kyon aise humein sataane lage

Tum itni pyaari ho saamne hum kaabu mein kaise rahein

Jaao humko to aati sharam hai

Teri aisi ada pe to fida hum hain

Hai rama ye kya hua kyon aise humein sataane lage

Tum itni pyaari ho saamne hum kaabu mein kaise rahein

Jaao humko to aati sharam hai

Teri aisi ada pe to fida hum hain.

KYA KAREIN.......

Kya karein kya na karein ye kaisi mushkil hay

Koi to bata de iska hal o mere bhai

Ki ek taraf to ussay pyaar karein hum

Aur usko hi ye kehne se darrein hum

Kya karein kya na karein ye kaisi mushkil hay

Koi to bata de iska hal o mere bhai

Ki ek taraf to ussay pyaar karein hum

Aur usko hi ye kehne se darrein hum

Roz roz hum sochta yehi

Aaj humko vo agar mil jaaye kahin

To aisa bolega saala vaisa bolega

Khullam khulla uspe dil ka raaz hum kholega

Vo saamne chamakti hai

Saans hi atakti hai

Aur ye zubaan jaati hai fisal

To kya karein kya na karein ye kaisi mushkil hay

Koi to bata de iska hal o mere bhai

Ki ek taraf to ussay pyaar karein hum

Aur usko hi ye kehne se darrein hum

Kya karein kya na karein ye kaisi mushkil hay

Koi to bata de iska hal o mere bhai

Koi badi baat nahin humein kehna tha jo bhi

Vo to hum yoonhi kehte magar

Phir bhi kaha nahin vajah iski hai yehi

Bas inkaar se humko tha darr

Ab kahein ya na kahein

Ki haan kahein na kahein

Soch soch mein hi vo gayi nikal

Kya karein kya na karein ye kaisi mushkil hay

Koi to bata de iska haal o mere bhai

Hey bhai mere bhai

O mere bhai

Hey bhai mere bhai

O mere bhai

PYAAR YE.......

Pyaar ye jaane kaisa hai kya kahein ye kuchh aisa hai

Kabhi dard ye deta hai kabhi chein ye deta hai

Kabhi gam deta hai kabhi khushi deta hai

Din to guzarte hain jiske khayaalon mein

Raatein guzarti hain uski hi yaadon mein

Waqt milan ka aaye to raahon mein

Jhoome bahaarein phoolon ki kaliyon mein

Bhanvaron ki toli aaye

Kaliyon pe vo mandaraaye

Darr ye fiza ka bhi dil se mitaaye

Pyaar ye jaane kaisa hai kya kahein ye kuchh aisa hai

Kabhi dard ye deta hai kabhi chein ye deta hai

Kabhi gam deta hai kabhi khushi deta hai

Pyaar ye jaane kaisa hai kya kahein ye kuchh aisa hai

Kabhi dard ye deta hai kabhi chein ye deta hai

Kabhi gam deta hai kabhi khushi deta hai

Aankhon pe chhaye hain sapna banke to

Koi paraaya aaye apna banke

Chalte chalte hi raahon ki dhoop mein

Saathi mil jaaye koi saaya banke

Manzil aaye na aaye ya koi toofan aaye

Dilwaalon ko ye jeena sikhaaye

Pyaar ye jaane kaisa hai kya kahein ye kuchh aisa hai

Kabhi dard ye deta hai kabhi chein ye deta hai

Kabhi gam deta hai kabhi khushi deta hai

Pyaar ye jaane kaisa hai kya kahein ye kuchh aisa hai

Kabhi dard ye deta hai kabhi chein ye deta hai

Kabhi gam deta hai kabhi khushi deta hai

YAI RE.......

Yai re yai re jor lagake naache re

Yai re yai re milke dhoom machaaye re

Chal mere sang sang lele duniya ke rang

Hoja rangeela re rang rang rangeela re

Yai re yai re jor lagake naache re

Yai re yai re milke dhoom machaaye re

Chal mere sang sang lele duniya ke rang

Hoja rangeela re rang rang rangeela re

Itne chehron mein apne chehre ki pehchaan

Oh ho pehchaan oh ho

Bade bade naamon mein apna bhi naamonishaan

Oh ho pehchaan oh ho

Jeene mein phir to kya baat ho

Din naya aur nayi raat ho

Har ghadi bas khushi saath ho

Yai re yai re jor lagake naache re

Yai re yai re milke dhoom machaaye re

Chal mere sang sang lele duniya ke rang

Hoja rangeela re rang rang rangeela re

Rangeela re

Arre yaaron mere paas to aao

Meri mushkil door bhagaao

Cadbury' s bole main meetha hoon

Amul bole main meetha hoon

Horlicks bole main achchha hoon

Complan bole main achchha hoon

Kya sabne socha main bachcha hoon

Chocolate khaane mein tension hai

Doodh peene mein tension hai

Tension tension tension

Tajub hai ji uspar duniya mein hi rehkar

Duniya mein jo jeene ke andaaz ko na jaane

Maathe yahan thope

Chaand ya taaron mein

Kismat ko dhoondhein par khud mein kya hai ye na jaane

Khud pe hi humko yakeen ho

Mushkilein raah ki aasaan ho

Donon haathon mein ye jahaan ho

Yai re yai re jor lagake naache re

Yai re yai re milke dhoom machaaye re

Chal mere sang sang lele duniya ke rang

Hoja rangeela re rang rang rangeela re

Rangeela re

THANHA THANHA.......

Tanha tanha yahan pe jeena ye koi baat hai

Koi saathi nahin tera yahaan to ye koi baat hai

Kisi ko pyaar dede

Kisi ka pyaar lele

Is saare zamaane mein yehi pyaari baat hai

Kisika to sapna ho aankhon mein teri

Koi gher karta ho baahon mein teri

Koi to bane humsafar raahon mein teri

Koi to bane humsafar raahon mein teri

Ye zindagi to vaise ek saza hai

Saath kisika ho to aur ye maza hai

Tanha tanha yahan pe jeena ye koi baat hai

Koi saathi nahin tera yahaan to ye koi baat hai

Kisi ko pyaar dede

Kisi ka pyaar lele

Is saare zamaane mein yehi pyaari baat hai

Tanha tanha yahan pe jeena ye koi baat hai

Zameen aasmaan se to kuchh keh rahi hai

Lehrein bhi saahil se kuchh keh rahi hain

Chaandni bhi chaand se kuchh keh rahi hai

Chaandni bhi chaand se kuchh keh rahi hai

Kisi na kisi se koi kuchh to keh raha hai

Tu dil ki baat keh de kehne mein kya hai

Tanha tanha yahan pe jeena ye koi baat hai

Koi saathi nahin tera yahaan to ye koi baat hai

Kisi ko pyaar dede

Kisi ka pyaar lele

Is saare zamaane mein yehi pyaari baat hai

Tanha tanha yahan pe jeena ye koi baat hai

Baat hai

Ye koi baat hai

Baat hai baat hai

Baat hai baat hai

Ye koi baat hai

YAARON SUN LO ZARA.......

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna

Jeena ho to appun ke jaise hi jeena

Gaadi bangla nahin na sahi na sahi

Bank balance nahin na sahi na sahi

TV video nahin na sahi na sahi

Suiting shirting nahin na sahi na sahi

Inki humko kyon ho fikar

Jee lo jaise mast kalandar

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna

Jeena ho to appun ke jaise hi jeena

Gaadi bangla agar ho to kya baat hai

Bank balance se rangeen din raat hai

TV video agar hai to kya hai maza

Dressing hessing se kuchh aur thaath hai

Inki karlo kuchh to kadar

Yaaro thoda jaao sudhar

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna

Jeena ho to appun ke jaise hi jeena

Humko dekho hum hain yaara apni marzi ke raaja

Duniya bole to maza hai na kaho khud ko raaja

Naam appun ka munna bhai hum kmarein vo jo dil mein samaaye

Arre dhanda kiya na kiya kya fikar

Kaun aaya gaya duniya mein kya khabar

Is duniya se tum jo rahe bekhabar

Kabhi duniya tumhein na bhulaaye

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna

Jeena ho to appun ke jaise hi jeena

Gaadi bangla nahin na sahi na sahi

Bank balance nahin na sahi na sahi

TV video nahin na sahi na sahi

Suiting shirting nahin na sahi na sahi

Inki karlo kuchh to kadar

Yaaro thoda jaao sudhar

Kal ka kya hai kisne dekha hum to aaj mein jeete hain

Jinmein himmat hai nahin vo aisi baatein karte hain

Uski to tum baat na karna humko dada sub kehte hain

Arre sheron ke jaisa hai apna jigar

Ooncha hi raha hai sada apna sar

Sar se jyaada oonchi rahe ye nazar

Aasmaan bhi to sar ko jhukaye

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna

Jeena ho to appun ke jaise hi jeena

Gaadi bangla agar ho to kya baat hai

Bank balance se rangeen din raat hai

TV video agar hai to kya hai maza

Dressing hessing se kuchh aur thaath hai

Inki humko kyon ho fikar

Jee lo jaise mast kalandar

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna

Hey jeena ho to appun ke jaise hi jeena

No comments:

Post a Comment